Sajjad Haider

dil-e-muztar mein jalti ek hasrat aur rakhni hai

Sajjad Haider

dil-e-muztar meñ jaltī ek hasrat aur rakhnī hai
mujhe tāq-e-junūñ meñ ik mohabbat aur rakhnī hai
garebāñ chaak hai garche mujhe kuchh aur karnā hai
ki ab in vahshatoñ meñ ek vahshat aur rakhnī hai
ḳhatīb-e-vaqt ne sikhlā diyā ye ahl-e-duniyā ko
ḳhitābat aur rakhnī hai adāvat aur rakhnī hai
koī bhī vārdāt-e-qalb-o-jāñ zāhir nahīñ karnī
mujhe ab intiqāman apnī hālat aur rakhnī hai
tavāf-e-shahr-e-jānāñ se agar 'sajjād' fursat ho
thake pairoñ ke nīche ik masāfat aur rakhnī hai
Top Urdushayar.com