gosha-e-dil meñ koī phuul khilā.e rakkho
ek ummīd pe āñgan ko sajā.e rakkho
ḳhushk pattoñ kī tarah asl se kaT jāoge
hai yahī achchhā use apnā banā.e rakkho
merā īmāñ hai use lauT ke ghar aanā hai
taaq meñ koī diyā roz jalā.e rakkho
yaad us kī to kisī taaq meñ rakhne kī nahīñ
ye sahīfa hai use dil se lagā.e rakkho
khul hī jā.egā koī bāb-e-ijābat 'sajjād'
apne hāthoñ ko ba-har-taur uThā.e rakkho