Riaz Majeed

kaun se jazbaat le kar tere pas aaya karun

Riaz Majeed

Jalandhar, Punjab, India

1942
kaun se jazbāt le kar tere paas aayā karūñ
tū batā kis zāviye se maiñ tujhe dekhā karūñ
ye bhī ik shart-e-safar hai ham-safar koī na ho
jis kisī bhī rāste ko tai karūñ tanhā karūñ
ai guzarte vaqt tū kab mere bas meñ aa.egā
lamha-e-parrāñ batā kab tak tirā pīchhā karūñ
halqa-e-ahbāb baḌhtā jā rahā hai din-ba-din
ab maiñ apne aap ko bhī aur kuchh gahrā karūñ
kyā tire hī qurb ke muhtāj the sab silsile
kuchh samajh meñ hī nahīñ aatā ki maiñ ab kyā karūñ
an-ginat bantī bigaḌtī ḳhvāhishoñ kī zad meñ huuñ
dil kahīñ Thahrā bhī ho maiñ dil kā kyā kahnā karūñ
mere milne vāloñ meñ se kaun miltā hai tujhe
tū kahāñ hai aur kaisā hai kise pūchhā karūñ
mujh meñ bhī terī tabī.at kā zarā sā rañg hai
tū nahīñ to kyuuñ na apne aap ko chāhā karūñ
mere sheroñ meñ tirī be-chārgī kā dukh bhī ho
kaash jo tū sochtā hai vo bhī maiñ likkhā karūñ
kyā se kyā hone kā dukh bhī kitnā karb-añgez hai
kis tavaqqo par 'riyāz' ab aa.ina dekhā karūñ
Top Urdushayar.com