Riaz Majeed

aanch aaegi na andar ki zaban tak ai dil

Riaz Majeed

Jalandhar, Punjab, India

1942
aañch aa.egī na andar kī zabāñ tak ai dil
kitnī der aur mirī jaan kahāñ tak ai dil
had ziyāda se ziyāda kī koī to hogī
aur is hirs kā phailāv kahāñ tak ai dil
tajraba tajraba āzād rag-o-pai meñ rahā
kitnī afsurdagī hai dahr se jaañ tak ai dil
mahak uḌ jā.egī tafhīm ke lab khulne se
sahar iblāġh kā hai zabt-e-bayāñ tak ai dil
aks o ā.īne kī sūrat hai hamārā rishta
huuñ tire saath tū merā hai jahāñ tak ai dil
hairat-āsār ajab ḳhvāb liye baiThā huuñ
shāyad aa jaa.e koī merī dukāñ tak ai dil
shor se ahl-e-ḳhabar ke hai 'riyāz' āzurda
koī le jaa.e use be-ḳhabrāñ tak ai dil
Top Urdushayar.com