Riaz Majeed

waqt KHush-KHush kaTne ka mashwara dete hue

Riaz Majeed

Jalandhar, Punjab, India

1942
vaqt ḳhush-ḳhush kāTne kā mashvara dete hue
ro paḌā vo aap mujh ko hausla dete hue
us se kab dekhī ga.ī thī mere ruḳh kī murdanī
pher letā thā vo muñh mujh ko davā dete hue
ḳhvāb-e-be-ta.abīr sī socheñ mire kis kaam kī
sochtā itnā to vo dast-e-atā dete hue
be-zabānī baḳhsh dī ḳhud-ehtisābī ne mujhe
hoñT sil jaate haiñ duniyā ko gila dete hue
apnī rah masdūd kar degā yahī baḌhtā hujūm
ye na sochā har kisī ko rāsta dete hue
āp-apne qatl meñ shāmil thā maiñ maqtūl-e-shauq
ye khulā mujh par talab kā ḳhūñ-bahā dete hue
vo hameñ jab tak nazar aatā rahā takte rahe
giilī āñkhoñ ukhḌe lafzoñ se duā dete hue
jaane kis dahshat kā saaya us ko mohr-e-lab huā
Dar rahā hai vo mujhe khul kar sadā dete hue
be-amāñ thā aap lekin mo.ajaza hai ye 'riyāz'
hāla-e-shafqat thā us ko aasrā dete hue
Top Urdushayar.com