Riaz Majeed

kisi bhi taur tabiat kahan sambhalne ki

Riaz Majeed

Jalandhar, Punjab, India

1942
kisī bhī taur tabī.at kahāñ sambhalne kī
tū mil bhī jaa.e to hālat nahīñ badalne kī
ḳhud apnī ham-safarī se bhī ho ga.e mahrūm
ki aarzū thī tujhe saath le ke chalne kī
kisī tarah to mile qahr-e-bekasī se najāt
koī to raah ho is karb se nikalne kī
asiir hī rahe ham pichhle ahd-nāmoñ ke
hameñ ḳhabar hī nahīñ thī ruteñ badalne kī
havāoñ ne hameñ jaḌ se ukhāḌ kar pheñkā
ki aarzū thī hameñ phūlne kī phalne kī
banā liyā hameñ apnī hī tarah kā tū ne
hameñ jo zid thī tirī ḳhvāhishoñ meñ Dhalne kī
udaas shāmoñ ko kyā dekh dekh rote ho
abhī to ā.eñgī rāteñ lahū ugalne kī
ek aise vaqt meñ jab zindagī bhī maut lage
'riyāz' kaun sī sūrat ho dil bahalne kī
Top Urdushayar.com