musāfirat ke tahayyur se kaT ke kab aa.e
jo chauthī samt ko nikle palaT ke kab aa.e
ab apne aks ko pahchānñā bhī mushkil hai
ham apne aap meñ hairat se haT ke kab aa.e
ik intishār thā ghar meñ bhī ghar se bāhar bhī
sañvar ke nikle the kis din simaT ke kab aa.e
ham aise ḳhalvatiyoñ se mukālme ko ye log
jahān bhar kī sadāoñ se aT ke kab aa.e
ye guftugū to hai radd-e-amal tirī chup kā
jo kah rahe haiñ ye ham ghar se raT ke kab aa.e
jab apne aap meñ masrūf ho gayā vo bahut
ham us kī samt zamāne se kaT ke kab aa.e
'riyāz' dhyān ham-āġhosh aa.ine se rahā
ḳhayāl us ke tasavvur se haT ke kab aa.e