Riaz Majeed

jo sochta hun agar wo hawa se kah jaun

Riaz Majeed

Jalandhar, Punjab, India

1942
jo sochtā huuñ agar vo havā se kah jā.ūñ
havā kī lauh pe mahfūz ho ke rah jā.ūñ
ye kyā yaqīn ki tū mil hī jā.egā mujh ko
tirī judā.ī kā jaañ levā dik to sah jā.ūñ
ḳhud apne aap ko dekhūñ varaq varaq kar ke
kisī ke sāmne jā.ūñ to tah-ba-tah jā.ūñ
khaḌā huuñ sūrat-e-dīvār reg-e-sāhil par
zarā sī mauj bhī aa.e to ghul ke bah jā.ūñ
mire ḳhudā mujhe iz.hār kī vo qudrat de
mujhe jo kahnā hai ik lafz meñ hī kah jā.ūñ
harīf-e-koshish-e-parvāz hai ye mausam-e-barf
maiñ āshiyāñ meñ hī par khol khol rah jā.ūñ
chaTān ban ke bhī kab tak bachā rahūñgā 'riyāz'
misāl-e-ḳhas abhī sail-e-zamāñ meñ bah jā.ūñ
Top Urdushayar.com