badal sakā na judā.ī ke ġham uThā kar bhī
ki maiñ to maiñ hī rahā tujh se duur jā kar bhī
maiñ saḳht-jān thā is karb se bhī bach niklā
maiñ jī rahā huuñ tujhe haath se gañvā kar bhī
ḳhudā kare tujhe duurī hī raas aa jaa.e
tū kyā karegā bhalā ab yahāñ par aa kar bhī
abhī to mere bikharne kā khel baaqī hai
maiñ ḳhush nahīñ huuñ abhī apnā ghar luTā kar bhī
maiñ us ko sat.h se mahsūs kar ke bhī ḳhush huuñ
vo mutma.in hī nahīñ merī tah ko pā kar bhī
abhī tak us ne koī bhī to faisla na kiyā
vo chup hai mujh ko har ik tarah aazmā kar bhī
usī hujūm meñ laḌ-bhiḌ ke zindagī kar lo
rahā na jā.egā duniyā se duur jā kar bhī
vo log aur hī the jin kā ijz phal laayā
hameñ to kuchh na milā apne ko miTā kar bhī
khulā ye bhed ki tanhā.iyāñ hī qismat haiñ
ik umr dekh liyā mahfileñ sajā kar bhī
ġhazal kahe pe bhī sochoñ kā bojh kam na huā
sakūñ na mil sakā ahvāl-e-dil sunā kar bhī
rukā na zulm mire raakh banñe par bhī 'riyāz'
huā kī ḳhū to vahī hai mujhe jalā kar bhī