qubūl kaash mirī itnī sī guzārish ho
kisī ke qalb meñ nafrat ho aur na ranjish ho
khileñge phuul yaqīnan ḳhizāñ meñ chāhat ke
jo shāḳh-e-dil pe sanam aap kī navāzish ho
dhuāñ sā uThtā ho jis ke malūl chehre se
to phir zarūrī hai dil bhī shikār-e-ātish ho
hue haiñ ġhair tire apne kyoñ kabhī sochā
tire ḳhilāf ye apnoñ kī hī na sāzish ho
chalo miTā.eñ adāvat kī rasm duniyā se
vafā pe pahra na chāhat pe koī bandish ho
ḳhizāñ-rasīda hai gulshan ye qalb-e-muztar kā
kahīñ ujaḌ hī na jaa.e ḳhushī kī bārish ho
mujhe yaqīn hai manzil vo 'sād' pā.egā
ho jis ke dil meñ lagan aur sachchī ḳhvāhish ho