ḳhud meñ jhāñkā to ajab manzar nazar aayā mujhe
apne andar bhī ajā.ib ghar nazar aayā mujhe
mujh se us kā ham-safar banñā bhī kab dekhā gayā
vo bhī apnī raah kā patthar nazar aayā mujhe
hādsoñ ne us ke paañv se bhī dhartī khīñch lī
vo bhī sail-e-vaqt kī zad par nazar aayā mujhe
mehrbāñ koī sharīk-e-qaid-e-tanhā.ī na thā
apne zaanū par hī apnā sar nazar aayā mujhe
dil se thī ummīd ḳhvāhish ke safar par saath de
par ye shāhīñ bhī shikasta-par nazar aayā mujhe
ek ik lamhe ne sau sau sho.abde dikhlā.e haiñ
sach to ye hai vaqt jādūgar nazar aayā mujhe
itnī himmat bhī na thī baḌh kar bulā letā 'riyāz'
yuuñ to vo bāzār meñ akasr nazar aayā mujhe