ho gayā hai ek ik pal kāTnā bhārī mujhe
maar degī zindagānī kī girāñ-bārī mujhe
dar-ba-dar phir phir ke ḳhud apne se nafrat ho ga.ī
khokhlā sā kar gayā hai rañj-e-bekārī mujhe
itnā kuchh dekhā ki sab kuchh ek sā lagne lagā
kar gayā hai vaqt mahsūsāt se aarī mujhe
maiñ siyah malbūs guzre vaqt kā huuñ mātamī
ziist ne sauñpī hai maazī kī azā-dārī mujhe
ek ik kar ke kaTe bāhar ke saare rābte
kar ga.ī tanhā mirī sochoñ kī bīmārī mujhe
jī meñ aatā hai bikhar kar dahr bhar meñ phail jā.ūñ
qabr lagtī hai badan kī chār-dīvārī mujhe
tū nazar aayā to jañgal zaat kā jal jā.egā
raakh kar degī tirī ḳhvāhish kī chiñgārī mujhe
roz o shab rahtā huuñ gum-sum aur mutafakkir 'riyāz'
karnī hai kis imtihāñ kī jaane tayyārī mujhe