Riaz Majeed

chhupe hue the jo naqd-e-shuur ke Dar se

Riaz Majeed

Jalandhar, Punjab, India

1942
chhupe hue the jo naqd-e-shu.ūr ke Dar se
nikal sake na vo jazbāt mere andar se
kabhī bhī shahr-e-tilismāt-e-dil kī sair na kī
har ek jalva liyā musta.ār bāhar se
rahe ham apnī hī gahrā.iyoñ se nā-vāqif
utar sakī na kabhī kaa.ī sat.h-e-dil par se
sukūñ kī jannateñ dozaḳh nahīñ aziyyat kā
ajiib haal huā āgahī ke mahshar se
hamārī bachchoñ sī ma.asūmiyat huī zaḳhmī
lahūluhān huā dil ḳhirad ke patthar se
nazar se dekh lo ham ret ke gharoñdoñ ko
hameñ na chhūo ki ham khokhle haiñ andar se
hamārī koshish-e-be-sūd us ko kyā paatī
husūl jis kā thā mumkin faqat muqaddar se
'riyāz' shaam Dhalī ab to ghar ko lauT chalo
tulū-e-sub.h se pahle ke nikle ho ghar se
Top Urdushayar.com