Riaz Majeed

nishan qafla-dar-qafla rahega mera

Riaz Majeed

Jalandhar, Punjab, India

1942
nishān qāfla-dar-qāfla rahegā mirā
jahāñ hai gard-e-safar silsila rahegā mirā
mujhe na tū ne mirī zindagī guzārne dī
zamāne tujh se hamesha gila rahegā mirā
siyah diloñ meñ sitāroñ kī fasl ugāne ko
hunar charāġh kī lau se milā rahegā mirā
ujaḌte vaqt se barbād hotī duniyā se
tire sabab se ta.alluq dilā rahegā mirā
na guftugū se ye larzish gumāñ kī jā.egī
agar asaas kā patthar hilā rahegā mirā
ye soch kar kabhī aks us kiran kā utrā thā
is ā.īna meñ sadā dil khilā rahegā mirā
'riyāz' chup se baḌhe aur dukh zarūrat ke
mujhe thā zom ye ghaao silā rahegā mirā
Top Urdushayar.com