Riaz Majeed

raat din mahbus apne zahiri paikar mein hun

Riaz Majeed

Jalandhar, Punjab, India

1942
raat din mahbūs apne zāhirī paikar meñ huuñ
shola-e-muztar huuñ maiñ lekin abhī patthar meñ huuñ
apnī sochoñ se nikalnā bhī mujhe dushvār hai
dekh maiñ kis be-kasī ke gumbad-e-be-dar meñ huuñ
dekhte haiñ sab magar koī mujhe paḌhtā nahīñ
guzre vaqtoñ kī ibārat huuñ ajā.ib-ghar meñ huuñ
jurm kartā hai koī aur sharm aatī hai mujhe
ye sazā kaisī hai maiñ kisī arsa-e-mahshar meñ huuñ
tujh ko itnā kuchh banāne meñ mirā bhī haath hai
merī jānib dekh maiñ bhī tere pas-manzar meñ huuñ
merā dukh ye hai maiñ apne sāthiyoñ jaisā nahīñ
maiñ bahādur huuñ magar haare hue lashkar meñ huuñ
kaun merā pūjne vaalā hai jo aage baḌhe
maiñ akelā devtā jalte hue mandar meñ huuñ
Top Urdushayar.com