Riaz Majeed

jab agle sal yahi waqt aa raha hoga

Riaz Majeed

Jalandhar, Punjab, India

1942
jab agle saal yahī vaqt aa rahā hogā
ye kaun jāntā hai kaun kis jagah hogā
tū mere sāmne baiThā hai aur maiñ sochtā huuñ
ki aa.e lamhoñ meñ jiinā bhī ik sazā hogā
ham apne apne bakheḌoñ meñ phañs chuke hoñge
na tujh ko merā na mujh ko tirā patā hogā
yahī jagah jahāñ ham aaj mil ke baiThe haiñ
isī jagah pe ḳhudā jaane kal ko kyā hogā
yahī chamakte hue pal dhuāñ dhuāñ hoñge
yahī chamaktā huā dil bujhā bujhā hogā
lahū rulā.egā vo dhuup chhāñv kā manzar
nazar uThā.ūñgā jis samt jhuTpuTā hogā
bichhaḌne vaale tujhe dekh dekh sochtā huuñ
tū phir milegā to kitnā badal chukā hogā
Top Urdushayar.com