Riaz Majeed

jo sail-e-dard uTha tha wo jaan chhoD gaya

Riaz Majeed

Jalandhar, Punjab, India

1942
jo sail-e-dard uThā thā vo jaan chhoḌ gayā
magar vajūd pe apnā nishān chhoḌ gayā
har ek chiiz meñ ḳhushbū hai us ke hone kī
ajab nishāniyāñ vo mehmān chhoḌ gayā
na saath rahne kā vaada agar kiyā puurā
zamīñ kā saath agar āsmān chhoḌ gayā
zarā sī der ko baiThā jhukā gayā shāḳheñ
parinda peḌ meñ apnī thakān chhoḌ gayā
vo vāqi.a mirā kirdār ubhartā thā jis meñ
Kahānī-kār usī kā bayān chhoḌ gayā
simaTtī phailtī tanhā.ī sote jāgte dard
vo apne aur mire darmiyān chhoḌ gayā
bahut aziiz thī niind us ko sub.h-e-kāzib kī
so us ko sote hue kārvān chhoḌ gayā
rahā 'riyāz' andheroñ meñ nauha karne ko
vo āñkheñ nochne vaalā zabān chhoḌ gayā
Top Urdushayar.com