dard ġhazal meñ Dhalne se katrātā hai
ḳhālī kāġhaz merī hañsī uḌātā hai
kis chāhat se qalam pakaḌ kar baiThe the
ab to ek bhī lafz nahīñ ban aatā hai
āḌī-tirchhī lakīroñ se kab baat banī
shauq andhā hai havā pe naqsh banātā hai
kis kī sadā.eñ merā ta.āqub kartī haiñ
des nikāle shaḳhs ko kaun bulātā hai
yādeñ Tīseñ sī ban kar rah jaatī haiñ
guzrā mausam phir kab lauT ke aatā hai
kis kā rasta dekh rahe haiñ ghar ke kivāḌ
suunā suunā āñgan kise bulātā hai
kin kin sahrāoñ kī ḳhaak uḌānī paḌī
dil bhī kaise kaise naach bachātā hai
jhūTī sachchī jo jī chāhe kahte jaao
kaun kisī ke dil meñ utrā jaatā hai
vaqt kī baat hai pyāre chāhe maan na maan
mīThā kaḌvā sab sunñā paḌ jaatā hai
mere aage bhaag rahe haiñ chāñd 'riyāz'
mere pīchhe merā saaya aatā hai