Riaz Majeed

masum KHwahishon ki pashimaniyon mein tha

Riaz Majeed

Jalandhar, Punjab, India

1942
ma.asūm ḳhvāhishoñ kī pashīmāniyoñ meñ thā
jiine kā lutf to inhīñ nādāniyoñ meñ thā
āñhkeñ bichhāte har kas-o-nākas kī raah meñ
yuuñ jazba-e-ḳhulūs farāvāniyoñ meñ thā
naddī meñ pahroñ jhāñkte rahte the pul se ham
kyā bhed thā jo bahte hue pāniyoñ meñ thā
patthar bane khaḌe the tajassus ke dasht meñ
dil gum tilism-e-shauq kī hairāniyoñ meñ thā
yuuñ reñg reñg kar na guzarte the roz o shab
dariyā-e-zīst bhī kabhī jaulāniyoñ meñ thā
sanjīdgī kī gahrī lakīroñ meñ Dhal gayā
ma.asūmiyat kā nuur jo peshāniyoñ meñ thā
ik ghar banā ke kitne jhameloñ meñ phañs ga.e
kitnā sukūn be-sar-o-sāmāniyoñ meñ thā
din aarzū ke yūñhī udāsī meñ kaT ga.e
vo apne dukh meñ apnī pareshāniyoñ meñ thā
us ke liye bhī zindagī pal pal azaab thī
vo bhī sulagte vaqt ke zindāniyoñ meñ thā
vo zabt o e'tidāl o tavāzun kahāñ 'riyāz'
meyār-e-fan ki jo kabhī yunāniyoñ meñ thā
Top Urdushayar.com