Riaz Majeed

baja hai hum zarurat se ziyaada chahte hain

Riaz Majeed

Jalandhar, Punjab, India

1942
bajā hai ham zarūrat se ziyāda chāhte haiñ
magar ye dekh sab kuchh be-irāda chāhte haiñ
bahut dil-tañg haiñ gunjā.ish-e-maujūd se ham
rah-e-imkāñ kushāda se kushāda chāhte haiñ
purānī hai numū-āsār hai phir bhī ye miTTī
badan se aur abhī kuchh istifāda chāhte haiñ
savār aate nahīñ haiñ lauT kar jin ghāTiyoñ se
safar is khūñT kā ik pā-pyāda chāhte haiñ
bahut be-zār haiñ ashrāfiya kī rahbarī se
koī insān koī ḳhāk-zāda chāhte haiñ
koī iz.hār āmāda hai dil kī dhaḌkanoñ meñ
ham us ke vāste ik lahan-e-sāda chāhte haiñ
jo ho maqbūl us kī bārgāh-e-haq-adā meñ
vo ik lamha 'riyāz' aadhe se aadhā chāhte haiñ
Top Urdushayar.com