vo dil ki thā kabhī sarsabz khetiyoñ kī tarah
sulag rahā hai jhulaste hue thaloñ kī tarah
ye sher jis kī zamīñ ko bhī mujh se shikve haiñ
rahegā yaad purānī mohabbatoñ kī tarah
kisī jagah pe bhī sayyāh dil Thahar na sakā
jahāñ kī sair ko nikle musāfiroñ kī tarah
utartī zehan meñ bhī ḳhush-gavār dhuup kabhī
shurū-e-garmā ke khulte hue dinoñ kī tarah
lahū rulātī hai be-vaqt tañg kartī hai
hai us kī yaad bhī be-rut kī bārishoñ kī tarah
tumhārī chaah kā anjām dekhiye kyā ho
lagā ke baiThe haiñ daav juāriyoñ kī tarah
ḳhud apne saa.e se bhī kaañp kaañp uThtā huuñ
maiñ sahmā phirtā huuñ mafrūr mulzimoñ kī tarah
us aañkh meñ koī be-rañg sī kashish thī 'riyāz'
purāne qiloñ meñ kunda ibāratoñ kī tarah