Riaz Majeed

usne ek din bhi na puchha bol aaKHir kis liye

Riaz Majeed

Jalandhar, Punjab, India

1942
us ne ik din bhī na pūchhā bol āḳhir kis liye
tū mire hote dukhī hai mere shā.ir kis liye
saañs lene par mujhe majbūr kartā hai ye kaun
kyā batā.ūñ jī rahā huuñ kis kī ḳhātir kis liye
sochtā huuñ kyuuñ bikhar jaatī nahīñ har ek shai
vo nahīñ hai to murattab haiñ anāsir kis liye
vo jo us ke dil meñ hai kyuuñ us ke hoñToñ par nahīñ
kuchh nahīñ tū mujh se miltā hai ba-zāhir kis liye
kis ne har shai ko kiyā vahm-o-gumāñ meñ mubtalā
ho gayā saaya mirā mujh se hī munkir kis liye
kaun dekhegā hamārī ḳhūn-āmezī yahāñ
aa ga.e andhoñ meñ ham rañgoñ ke tājir kis liye
ab rahā hī kyā hai mere jeb-o-dāman meñ 'riyāz'
aa rahā hai mere pīchhe vaqt-e-shātir kis liye
Top Urdushayar.com