makān-e-dil se jo uThtā thā vo dhuāñ bhī gayā
bujhī jo ātish-e-jāñ ziist kā nishāñ bhī gayā
bahut panāh thī us ghar kī chhat ke saa.e meñ
vahāñ se nikle to phir sar se āsmāñ bhī gayā
baḌhā kuchh aur tajassus jalā kuchh aur bhī zehn
haqīqatoñ ke ta.āqub meñ maiñ jahāñ bhī gayā
rahe na saath jo pachhtāve bhī to rañj huā
ki hāsil-e-safar-e-umr-e-rā.egāñ bhī gayā
bachche hue the to ek ek lamha ginte the
bikhar ga.e to phir andāza-e-zamāñ bhī gayā
nishān tak na rahā apne ġharq hone kā
dikhā.ī detā thā jo ab vo bādbāñ bhī gayā
bharā thā dāman-e-ḳhvāhish to hashr barpā thā
huā tahī to phir āvāza-e-sagāñ bhī gayā
ab is udaas havelī se apnā kyā rishta
makīñ ke saath hamāre liye makāñ bhī gayā
bisāt-e-dahr pe shah-māt ho ga.ī ham ko
'riyāz' vo bhī na haath aayā naqd-e-jāñ bhī gayā