hamārī aql par taale paḌe haiñ
khañDar hai zehn aur jaale paḌe haiñ
ba-zāhir saaf aate haiñ nazar dil
magar andar se ye kaale paḌe haiñ
kabhī dekho palaT kar āstīñ ko
ka.ī hī saañp ham paale paḌe haiñ
mayassar kaise ho do vaqt roTī
ki jab ik vaqt ke laale paḌe haiñ
kareñ ḳhud hī ḳhizāoñ ke havāle
chaman ke aise rakhvāle paḌe haiñ
bahut royā judā ho kar vo shāyad
tabhī to aañkh meñ haale paḌe haiñ
dahakte rāste par chal paḌe the
abhī tak paañv meñ chhāle paḌe haiñ
luTā sakte haiñ ulfat meñ vo jāneñ
bahut ai 'sād' matvāle paḌe haiñ