Laxmi Narayan Farigh

bisat-e-rang-o-bu aatish-fishan malum hoti hai

Laxmi Narayan Farigh

bisāt-e-rañg-o-bū ātish-fishāñ mālūm hotī hai
rag-e-gul meñ nihāñ barq-e-tapāñ mālūm hotī hai
tamannā hī se qaa.em hai vaqār-e-naujavānī bhī
tamannā garche jins-e-rā.egāñ mālūm hotī hai
kināra hai koī is kā na is kā koī sāhil hai
mohabbat ek bahr-e-be-karāñ mālūm hotī hai
guzishta vārdātoñ par maiñ jab bhī ġhaur kartā huuñ
mujhe har vārdāt ik dāstāñ mālūm hotī hai
vafā-koshī kā jazba sard paḌ jaatā hai piirī meñ
vafā parvarda-e-fikr-e-javāñ mālūm hotī hai
asar baaqī abhī tak hai nigāhoñ meñ javānī kā
mujhe har ek shai ab bhī javāñ mālūm hotī hai
jafā-o-jaur ke qisse haiñ ab bhī mo'atabar 'fāriġh'
vafā kī baat zeb-e-dāstāñ mālūm hotī hai
Top Urdushayar.com