Laxmi Narayan Farigh

jahan walon se barti is qadar be-gangi maine

Laxmi Narayan Farigh

jahāñ vāloñ se bartī is qadar be-gāngī maiñ ne
ki barham kar liyā apnā nizām-e-zindagī maiñ ne
sikhā.e husn-e-kāfir ko salīqe ḳhud-numā.ī ke
sañvārā pai-ba-pai apnā mazāq-e-āshiqī maiñ ne
hue raushan na phir bhī bām-o-dar fikr-o-tasavvur ke
hazāroñ baar kī bazm-e-jahāñ meñ raushnī maiñ ne
dil-e-nā-āqibat-andesh kī kotāh-bīnī kī
kabhī tā.īd kī maiñ ne kabhī tardīd kī maiñ ne
hazāroñ baar tahzīb-o-tamaddun kī fazā badlī
hazāroñ baar ik duniyā na.ī ābād kī maiñ ne
kyā ifshā na rāz-e-ġham kisī par jīte-jī 'fāriġh'
baḌe sabr-o-tahammul se basar kī zindagī maiñ ne
Top Urdushayar.com