ḳhvāb meñ bhī na kabhī un se mulāqāt huī
hameñ hāsil na kabhī vaj.h-e-mubāhāt huī
fikr-e-fardā hai kabhī ranj-o-ġham-e-dosh kabhī
kis qadar rūh-e-bashar morid-e-āfāt huī
ḳhasta-hālī pe mirī un ko bhī ronā aayā
ba.ad-e-muddat mire vīrāne meñ barsāt huī
vaj.h-e-āshob-e-tamannā huā fikr-e-jannat
vaj.h-e-āsūdgī-e-rūh munājāt huī
tishnagī miT na sakī kām-o-dahan kī 'fāriġh'
zindagī muft meñ marhūn-e-ḳharābāt huī