jahān-e-rañg-o-bū par chhā rahā hai
har ik parde se vo jalva-numā hai
bashar Thokar pe Thokar khā rahā hai
sazā apne kiye kī pā rahā hai
tamannā aur phir un kī tamannā
ye irfān-e-ḳhudī kī intihā hai
butoñ ko dekh kar aatā hai tū yaad
butoñ ke husn meñ jalva tirā hai
kahīñ tū hai kahīñ tasvīr terī
na ka.aba hai na koī but-kada hai
tumhārī yaad kar letā huuñ taaza
butoñ ko kaun kāfir pūjtā hai
nahīñ chāra kisī ke paas is kā
mohabbat ek dard-e-lā-davā hai
sharāb-e-zīst piitā jā rahā huuñ
surūr-e-hosh baḌhtā jā rahā hai
jigar meñ chubh rahī hai nok-e-mizhgāñ
balā kā dard 'fāriġh' ho rahā hai