Laxmi Narayan Farigh

meri judai mein aansu bahae jate hain

Laxmi Narayan Farigh

mirī judā.ī meñ aañsū bahā.e jaate haiñ
ye fitna merī lahad par jagā.e jaate haiñ
ziyā-e-husn ko dargāh-e-dil tarastī hai
charāġh dair-o-haram meñ jalā.e jaate haiñ
nahīñ satāte kisī ko bhī jo zamāne meñ
vahī zamāne meñ akasr satā.e jaate haiñ
ziyā-e-husn se hotā hai jin kā dil ma.amūr
charāġh gor par un kī jalā.e jaate haiñ
fasānoñ se nahīñ bantīñ haqīqateñ lekin
haqīqatoñ se fasāne banā.e jaate haiñ
kahīñ ġhurūr takabbur kahīñ futūr-e-ḳhudī
hamārī raah meñ rahzan biThā.e jaate haiñ
adab kī mahfil-e-rañgīñ meñ rāt-din 'fāriġh'
mire fasāne hī akasr sunā.e jaate haiñ
Top Urdushayar.com