rah-e-hayāt meñ vo bhī maqām aa.egā
yagāna kaam na begāna kaam aa.egā
surūr-e-bāda-e-ranj-o-ġham-e-hayāt kabhī
na kaam aayā kisī ke na kaam aa.egā
hamārī zindagī-e-muḳhtasar kā sarmāya
hamāre ba.ad zamāne ke kaam aa.egā
badal chukī hai fazā ab nizām-e-ālam kī
na kaam daana kisī ke na daam aa.egā
yaqīñ hai tishna-laboñ ko ki un kī mahfil meñ
vo jab bhī aa.egā bāda-ba-jām aa.egā
vo jis kī yaad satātī hai rāt-din 'fāriġh'
na qabl-e-sub.h na vo ba.ad-e-shām aa.egā