Laxmi Narayan Farigh

naqab-e-bazm-e-tasawwur uThai jati hai

Laxmi Narayan Farigh

naqāb-e-bazm-e-tasavvur uThā.ī jaatī hai
shikast-ḳhurdoñ kī himmat baḌhā.ī jaatī hai
bhaTakne lagtā hai rāh-e-vafā se jab aalam
hadīs-e-ishq hamārī sunā.ī jaatī hai
matā-e-hosh-o-ḳhirad be-bahā sahī lekin
dar-e-habīb pe ye bhī luTā.ī jaatī hai
nazar se hotī hai lutf-o-karam kī bārish bhī
nazar se barq-e-tapāñ bhī girā.ī jaatī hai
vufūr-e-shauq kī dekho to maslahat-koshī
junūñ kī baat ḳhirad se chhupā.ī jaatī hai
kis e'timād se āġhāz-e-daur-e-ulfat meñ
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā basā.ī jaatī hai
fazā-e-rūh pe tārīkiyāñ musallat haiñ
haram meñ sham-e-aqīdat jalā.ī jaatī hai
dikhā dikhā ke ma.āl-e-junūñ kī fitnagarī
bashar ko rasm-e-muravvat sikhā.ī jaatī hai
matā-e-ishq-o-mohabbat nigāh-e-ālam se
kis ehtiyāt se 'fāriġh' chhupā.ī jaatī hai
Top Urdushayar.com