e'tibār-e-ārzū kā karr-o-far jaatā rahā
dil se irfān-e-mohabbat kā asar jaatā rahā
sham.a soz-e-ġham kā qissa raat bhar kahtī rahī
de ke parvāna payām-e-muḳhtasar jaatā rahā
ahd-e-rafta ko na dekhā lauT kar aate hue
e'tibār-e-gardish-e-shām-o-sahar jaatā rahā
ho sakegā phir na saiqal jauhar-e-kirdār-e-zīst
gar jahāñ se e'tibār-e-ḳhair-o-shar jaatā rahā
e'tibār-e-ārzū-e-muḳhtasar baaqī sahī
e'tibār-e-jazba-e-fikr-o-nazar jaatā rahā
mushkilāt-e-ishq kā uqda na phir bhī vā huā
nāma-bar aatā rahā aur nāma-bar jaatā rahā
fikr-e-besh-o-kam ke 'fāriġh' marhale tai ho ga.e
dil se ehsās-e-ġham naf-o-zarar jaatā rahā