tū mire ishq kī rūdād nahīñ samjhegā
kyuuñ mohabbat meñ huuñ barbād nahīñ samjhegā
umr bhar qaid meñ rahne kī aziyyat ko kabhī
jo parinda rahā āzād nahīñ samjhegā
ahd-e-nau se koī ummīd lagānā hai fuzūl
ab koī maqsad-e-fariyād nahīñ samjhegā
dostī kyā hai faqat dost samajh saktā hai
jis ne matlab se kiyā yaad nahīñ samjhegā
dil kī vīrān galī ham ne sajā.ī kaise
kyuuñ kiyā dard se ābād nahīñ samjhegā
tujh se maiñ shikva gila kaise karūñ 'sād' āḳhir
ye atiyya hai ḳhudā-dād nahīñ samjhegā