durust hai ki mirā haal ab zubūñ bhī nahīñ
maqām-e-sajda ki ye jaam sar-nigūñ bhī nahīñ
nahīñ ki shorish-e-bazm-e-tarab fuzūñ bhī nahīñ
dalīl-e-shorish-e-jāñ ik charāġh-e-ḳhūñ bhī nahīñ
hadīs-e-shauq abhī muḳhtasar hai chup rahiye
abhī bahār kā kyā ġham abhī junūñ bhī nahīñ
abhī to tāq-e-haram meñ jalā.iye sham.eñ
abhī harīf-e-sanam jazb-e-andarūñ bhī nahīñ
abhī ye gumbad-e-sar phoḌne kī kiije fikr
ki sadd-e-rāh abhī charḳh nīlgūñ bhī nahīñ
abhī to gard-e-rah-e-āstāñ se saaz kareñ
faroġh-e-dīda koī paikar-e-fusūñ bhī nahīñ
hai is qadar ki nigah bām-o-dar pe phirtī hai
magar diloñ ko jo taḌpā.e vo sukūñ bhī nahīñ