chāroñ or ab phuul hī phuul haiñ kyā ginte ho dāġhoñ ko
ho taufīq to dil se lagāo in nau-rusta bāġhoñ ko
jalte sahrā kī maujoñ par girte-paḌte rah-rav haiñ
chashma-e-āzādī ke jo ab tak DhūñDh rahe haiñ surāġhoñ ko
bād-e-havādis ke shahpar ḳhud un ko raah dikhāte haiñ
vaqt ke dhāre par chhoḌā hai ham ne aise charāġhoñ ko
kunj-e-qafas go kunj-e-qafas hai lekin ab ke bahārāñ meñ
ham ne mahaktā paayā josh-e-tasavvur-e-gul se dimāġhoñ ko
sub.h-e-roz-e-ādam-e-nau hai dhuum machī hai ghar ghar meñ
sāthiyo uTTho subūhī se chalkā.eñ bhar ke ayāġhoñ ko