Safdar Meer

os ki tamanna mein jaise bagh jalta hai

Safdar Meer

os kī tamannā meñ jaise baaġh jaltā hai
tū na ho to siine kā daaġh daaġh jaltā hai
chāñd chal diyā chup-chāp so ga.e sitāre bhī
raat kī syāhī meñ dil kā daaġh jaltā hai
maut ik kahānī hai ziist jāvedānī hai
ik charāġh bujhtā hai ik charāġh jaltā hai
qatl-gāh se le kar qātiloñ ke dāman tak
ḳhūn-e-nāhaq-e-farhād kā surāġh jaltā hai
sāthiyoñ se duurī meñ ik jahāñ se duurī hai
mai meñ dam nahīñ saaqī aur ayāġh jaltā hai
Top Urdushayar.com