Safdar Meer

bahaar aai hai phir pairahan gulabi ho

Safdar Meer

bahār aa.ī hai phir pairahan gulābī ho
vo chāñd aa.e sar-e-anjuman gulābī ho
siyāh raat sī chhā.ī vo zulf chehre par
jabīn-e-nāz gulābī badan gulābī ho
khuleñ jo band-e-qabā raat jagmagā uTThe
mahaktī sej shikan-dar-shikan gulābī ho
havā kī larzisheñ dahkātīñ āriz-o-lab ko
hayā kī mauj se saarā badan gulābī ho
vo hoñT chup hoñ to āñkhoñ meñ phuul se jhamkeñ
hileñ to saarī fazā-e-suḳhan gulābī ho
gulāl is tarah barsā.e koī chaar taraf
chaman gulābī havā-e-chaman gulābī ho
siyāhī-e-shab-e-hijrāñ siyāh-tar na karo
jo ho to chāñd kā mere gahan gulābī ho
vatan se duur bahāroñ ko khojne vaale
jo in dinoñ meñ zamīn-e-vatan gulābī ho
Top Urdushayar.com