Safdar Meer

baghaur dekho to zaKHmon ka ek chaman sa hai

Safdar Meer

baġhaur dekho to zaḳhmoñ kā ik chaman sā hai
sukūt tishna tamannāoñ kā kafan sā hai
kabhī khil uThte haiñ yādoñ ke bhī kañval varna
bahār meñ bhī ye dil ik udaas ban sā hai
ubhar rahā hai jo naġhma bahār ke dil se
gudāz-o-soz kuchh us meñ tire badan sā hai
chaman se duur chaman ke har ik ḳhayāl se duur
khulā huā marī āñkhoñ meñ ik chaman sā hai
nazar nazar meñ ghulāvaT hai bad-gumānī kī
hujūm-e-māh meñ khiltā huā gahan sā hai
hai ka.aba kitne saman-posh nāznīnoñ kā
ye dil jo kahne ko yuuñ chāk-e-pairahan sā hai
mirā junūñ hai adab-āshnā abhī varna
haram ke parde meñ bhī ek barhaman sā hai
Top Urdushayar.com