ye merī aahoñ meñ aañch kaisī ye taav kaisā
dahak rahā hai ye mere andar alaav kaisā
ye aag kaisī dil-e-hazīñ meñ lagī huī hai
ye āñsuoñ kā hai jānib-e-dil bahāv kaisā
ye kaun ham ko falak se paiham bulā rahā hai
hai is jahāñ meñ ye roz kā chal-chalāv kaisā
mohabbatoñ meñ ravā nahīñ hai ye vaz.a-dārī
bane ho āshiq to ishq meñ rakh-rakhāv kaisā
jab ashk āñkhoñ kī had ke andar hī maujzan haiñ
to phir ye āñkhoñ ke sāhiloñ meñ kaTāv kaisā
koī to hai jo mujhe Thaharne ko kah gayā hai
safar meñ 'tāsīr' varna aisā paḌāv kaisā