ḳhamosh hoñToñ se saare kalām karne lage
vo sab ke sab tire baare kalām karne lage
Dhalī jo shaam to ashkoñ se guftugū thī mirī
phir is ke baad sitāre kalām karne lage
tumhārā zikr chhiḌā jab to mo.ajiza ye huā
ki jitne gūñge the saare kalām karne lage
tirī udāsiyoñ bechainiyoñ se zāhir hai
ki ab ye zaḳhm hamāre kalām karne lage
kisī ke sāmne gulzār aag hone lagī
kisī ke jism se aare kalām karne lage
hamārī ġhazloñ kā 'tāsīr' aasrā le kar
tumhāre hijr ke maare kalām karne lage