Ahmed Ataullah

gali ka aam sa chehra bhi pyara hone lagta hai

Ahmed Ataullah

1965
galī kā aam sā chehra bhī pyārā hone lagtā hai
mohabbat meñ to zarra bhī sitārā hone lagtā hai
yahāñ gum-sum se logoñ par kabhī palkeñ nahīñ uTThīñ
ishārā karne vāloñ ko ishārā hone lagtā hai
hamārī zindagī par hai hamāre ishq kā saaya
ki ham jo kaam karte haiñ ḳhasārā hone lagtā hai
mohabbat kī adālat bhī bhalā kaisī adālat hai
ki jab bhī uThne lagte haiñ pukārā hone lagtā hai
zamīn o āsmāñ ke saare sahrā raqs karte haiñ
kisī par ishq jab bhī āshkārā hone lagtā hai
'atā' be-sabr logoñ ke kabhī bartan nahīñ bharte
guzāra karne vāloñ kā guzārā hone lagtā hai
Top Urdushayar.com