Taseer Jafry

tanhai se sahra se na dariya ke bhanwar se

Taseer Jafry

Khanewal, Punjab, Pakistan

1976
tanhā.ī se sahrā se na dariyā ke bhañvar se
vahshat mujhe hotī hai mire apne hī ghar se
chunñā hai mujhe dil bhī abhī qarya-ba-qarya
āñkheñ bhī uThānī haiñ tirī rāhguzar se
ik nazar-e-karam ke liye kaun umr guzāre
ik bosa-e-lab ke liye kab tak koī tarse
mat apnī karīmī ke sunā.e mujhe qisse
vo abr-e-karam hai to mire dasht pe barse
jis shaḳhs pe ehsān abhī maiñ ne kiyā hai
mahfūz ḳhudā rakkhe usī shaḳhs ke shar se
kaTne na diyā sahn se is vāste 'tāsīr'
ḳhushbu-e-vafā aatī hai is būḌhe shajar se
Top Urdushayar.com