Taseer Jafry

zabt gar had se baDha to zalzala bhi aaega

Taseer Jafry

Khanewal, Punjab, Pakistan

1976
zabt gar had se baḌhā to zalzala bhī aa.egā
tere mere darmiyāñ phir fāsla bhī aa.egā
aisā lagtā hai ki ab to qāfile ko lūTne
rāhzan bhī ā.eñge aur rahnumā bhī aa.egā
le ke ḳhālī aañkh kā mashkīza mat sahrā meñ jā
is safar meñ tishnagī kā marhala bhī aa.egā
hijr kā mausam jab aa.egā tirī yādeñ liye
dil bhī taḌpegā taḌapne kā maza bhī aa.egā
zulm agar jaarī rahā to dekhnā phir ek din
ḳhuun uglegī zamīñ ye marhala bhī aa.egā
dekh 'tāsīr' us ke aane ke na itne ḳhvāb dekh
aañkh ke hisse meñ varna ratjagā bhī aa.egā
Top Urdushayar.com