jaise-taise nikāl lete haiñ
chand lamhe nikāl lete haiñ
ḳhud hī sete haiñ zaḳhm dil ke ham
ḳhud hī dhāge nikāl lete haiñ
apne chehre se ik nayā chehra
log kaise nikāl lete haiñ
naam le ke tumhārā dukh ham se
ashk saare nikāl lete haiñ
phir samundar lagegā niilā falak
gar sitāre nikāl lete haiñ
terī yādoñ ke bahr se ab ham
sher achchhe nikāl lete haiñ
mushkilāt-e-jahān se 'tāsīr'
sachche jazbe nikāl lete haiñ