Taseer Jafry

sina-e-KHak pe bikhra hai lahu ganw mein

Taseer Jafry

Khanewal, Punjab, Pakistan

1976
sīna-e-ḳhāk pe bikhrā hai lahū gaañv meñ
aisā lagtā hai ki lauT aayā hai tū gaañv meñ
guftugū hogī tirī ḳhud se kisī ke lab par
tū kisī roz kisī phuul ko chhū gaañv meñ
kachchī masjid hai jahāñ paḌhte haiñ sab log namāz
aur ik nahr se karte haiñ vuzū gaañv meñ
mil ke baiTheñge ḳhushī aur ġhamī meñ saare
jaarī rakheñge mohabbat kī ye ḳhū gaañv meñ
na parinde haiñ na ab khelte bachche 'tāsīr'
ab to chhāyā hai faqat ālam-e-hū gaañv meñ
Top Urdushayar.com