hijr meñ tere ThanDī aaheñ bhartā hai
ḳhālī kamra saa.eñ saa.eñ kartā hai
ashkoñ kī sūrat āñkhoñ ke sāhil par
roz nayā ik lashkar aan utartā hai
duniyā ne dil ko aur dil ne duniyā ko
donoñ ne hī apne taur pe bartā hai
jin āñkhoñ meñ ashk aa jaa.eñ asr ke baad
un āñkhoñ meñ sūraj Duub ke martā hai
ishq meñ jiinā bhī paḌ saktā hai 'tāsīr'
ishq kiyā hai to kaahe ko Dartā hai