Umar Ansari

mujhe mehman hi jaano raat bhar ka

Umar Ansari

Lucknow, Uttar pradesh, India

1912-2005
mujhe mehmāñ hī jaano raat bhar kā
diyā huuñ dostoñ meñ rahguzar kā
sunā.ūñ kyā ki tūlānī bahut hai
fasāna merī umr-e-muḳhtasar kā
chaleñ kah do havāoñ se sambhal ke
bharā rakkhā hai sāġhar chashm-e-tar kā
chale jo dhuup meñ manzil thī un kī
hameñ to khā gayā saaya shajar kā
haTā.e kuchh to patthar Thokaroñ ne
huā to saaf kuchh rasta safar kā
jise duniyā ne bas aañsū hī jaanā
farastāda thā ik dil ke nagar kā
ġhamoñ meñ kis ko maiñ hañsnā sikhā.ūñ
mile bhī qadr-dāñ koī hunar kā
yahāñ to fātah-e-ālam vahī hai
badalnā jis ko aa jaa.e nazar kā
nifāq-e-bāhamī hai jo abhī tak
khaḌā hai rāsta roke 'umar' kā
Top Urdushayar.com