Umar Ansari

bahar bahar sannaTa hai andar andar shor bahut

Umar Ansari

Lucknow, Uttar pradesh, India

1912-2005
bāhar bāhar sannāTā hai andar andar shor bahut
dil kī ghanī bastī meñ yaaro aan base haiñ chor bahut
yaad ab us kī aa na sakegī soch ke ye baiThe the ki bas
khul ga.e dil ke saare darīche thā jo havā kā zor bahut
maujeñ hī patvār baneñgī tūfāñ paar lagā.egā
dariyā ke haiñ bas do sāhil kashtī ke haiñ chhor bahut
maiñ bhī apnī jhoñk meñ thā kuchh vo bhī apne zo.am meñ thā
hotī bhī hai kuchh mire yaaro pyaar kī kuchh Dor bahut
fasl-e-ḳhizāñ to sah lī lekin mausam-e-gul meñ TuuT girī
bojh phaloñ kā sah nahīñ paa.ī shāḳh ki thī kamzor bahut
dil se uThā tūfān ye kaisā saare manzar Duub ga.e
varna abhī to is jañgal meñ naach rahe the mor bahut
barsoñ ba.ad milā hai mauqa.a aao lagā leñ kashtī paar
aaj to yaaro sannāTā hai dariyā ke us or bahut
aaj yaqīnan meñh barsegā aaj giregī barq zarūr
añkhiyāñ bhī pur-shor bahut haiñ kajrā bhī ghanghor bahut
kis se kis kā sāthī chhūTā kis kā 'umar' kyā haal huā
parbat parbat vaadī vaadī raat machā thā shor bahut
Top Urdushayar.com