har ik kā dard usī āshufta-sar meñ tanhā thā
vo ek shaḳhs jo saare nagar meñ tanhā thā
vo aadmī bhī jise jān-e-anjuman kahiye
chalā jab uTh ke to saare safar meñ tanhā thā
jo tiir aayā gale mil ke dil se lauT gayā
vo apne fan meñ maiñ apne hunar meñ tanhā thā
us ik diye se hue kis qadar diye raushan
vo ik diyā jo kabhī bām-o-dar meñ tanhā thā
sunā hai luT gayā kal raat rāste meñ kahīñ
jo ek rah-guzrī rahguzar meñ tanhā thā
uThā ye shor vahīñ se sadāoñ kā kyūñ-kar
vo aadmī to sunā apne ghar meñ tanhā thā
har ik meñ koī kamī thī har ik meñ thā koī aib
dhulā huā vahī bas āb-e-zar meñ tanhā thā
na pā sakā kabhī tā-umr lutf-e-tanhā.ī
umar jo saare jahāñ kī nazar meñ tanhā thā