laḌ jaate haiñ saroñ pe machaltī qazā se bhī
Darte nahīñ charāġh hamāre havā se bhī
barsoñ rahe haiñ raqs-kunāñ jis zamīn par
pahchāntī nahīñ hameñ āvāz-e-pā se bhī
ab is ko iltifāt kahūñ maiñ ki be-ruḳhī
kuchh kuchh haiñ mehrbāñ se bhī kuchh kuchh ḳhafā se bhī
chhup kar na rah sakegā vo ham se ki us ko ham
pahchān leñge us kī kisī ik adā se bhī
dil kaañp kaañp uThtā hai azm-e-gunāh par
mil jaatī hai sazā hameñ pahle ḳhatā se bhī
aksar huā hai ye ki ḳhud apnī talāsh meñ
aage nikal ga.e haiñ had-e-mā-sivā se bhī